Akhtar Jawad - Yad-e-Mazi

PoemHunter.com 2014-06-11

Views 3

Ek main hi to nahin teri muhabbat ka gunahgar,
Is ghar ki har ek shay hai teri yad men beemar.
Takiye se teri zulf ki khushboo nahin nikli,
Chadar tere rukhsar ki lali se hay gulzar.
Jisne tere honto se churai the gulabi,
Woh jama abhi tak hay usi lams se sarshar.
Phenke they jahan choori ke tootey huye tukre,
Dekh aaj bhi rangeen hay wo gosha-e-deewar.
Khoonti pe jo kamre men kabhi tanga tha toone,
Ab bhi wohin maujood hay go sookh gaya har.
Jalwey tere paikar ke na dekhe gaye jinse,
Woh khidki ki palken hain usi tarah hayabar.
Kamre ki ki fizaon men abhi tak hay basi too,
Is dil ko abhi tak hay teri chah ka azar.
Bahar to nikal hal ke is jal se ekdin,
Mazi ke jharokon men kabhi jhank to ek bar.
Woh pehla sa andaz liye bhi kabhi aaja,
Waise to mere kamre aati hay too sau bar.
Honton pe tabassum ho larazte hon tere hath,
Dawat ho nigahon men zuban karti ho inkar.
Khamosh ho too aur tera paikar ho ghazalkhan,
Sanson se tere dil ki nikalti huyee jhankar.
Ab bhi teri aankhon se chalakti hain sharaben,
Ab bhi teri zulfon se moattar hay shab-e-tar.
Katrata hay mahtab tere gore badan se,
Hain aaj bhi phoolon ke liye khar yeh rukhsar.
Jis dunya ne mujhse tujhe begana kiya hay,
Us duniya se pal bhar keliye ho kabhi bezar.

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/yad-e-mazi/

Share This Video


Download

  
Report form