Akhtar Jawad - Geo Geo

PoemHunter.com 2014-06-12

Views 3

Tum geo geo aur jeene do,
Keyun sach se nafrat karte ho.
Keyun jhoot ki pooja karte ho,
Tum kis bat se darte ho?
Nahin hay sunna to na suno,
Par geo geo aur jeene do.

Mujhse bhool bhi hoti hay,
Mujhse chook bhi hoti hay,
Tum keya ek farishta ho?
Utra hua ek basta ho?
Khamosh ho keyun kutch to bolo,
Par geo geo aur jeene do.

Tum koi kathputli ho,
Bas uthtne wali ungli ho,
Un sar ko utha kar mat thooko,
Yeh laute ga tumper mat bhoolo,
Mazi ko to yad karo,
Par geo geo aur jeene do.

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/geo-geo/

Share This Video


Download

  
Report form