GHAR SE NIKLO TO ZAMANE SE CHIPA KAR NIKLO,
AAHAT HO NA ZARA BHI PAAWN DABA KAR NIKLO.
LAUT AAYEN YE KHUDA PHIR WAPAS GHAR MAIN,
KAHI CHALNE SE PAHLE AB YE DUA KAR NIKLO.
RAAHAIN MAQTAL BANI HAIN, TU BE-KAFAN NA RAH JAI
ESLIYE HAATH PE PATA GHAR KA LIKHA KAR NIKLO.
APNE HI KHOON KE HATHOON MAIN HAIN KHANZAE ESLIYE
ROAYEGA KAUN TUJH PE, KHUD KO ROOLA KAR NIKLO.
YEH DAUR KHOON KA HAIN HAWAON MAIN BAH RAHE NASHTAR
GHAR KE HAR SHAKHAS KO SEENE SE LAGAKAR NIKLO
@KAVI DEEPAK SHARMA
http: //www.kavideepaksharma.co.in
http: //shayardeepaksharma.blogspot.com
All right reserved @Kavi Deepak Sharma
Kavi Deepak Sharma
http://www.poemhunter.com/poem/ghar-se-nikalo-to-zamaane-se-chupakar-nikalo-ghazal-by-kavi-deepak/