Jaati hai drishti jahan tak baadal dhuen ke dekhta hun
Archana ke deep se mandir jalte dekhta hun
dekhta hun raat se bhi jyada kaali bhor ko
aadmi ki mukta ko goliyon ke shor ko
dekhta hun namrata jakde hinsa ki janjeer hai
aankhir yakin kaise karun ye hind ki tasveer hai.
Kitne bachpan dosh apna bebas nazar se puchte hain
beghar anaath hone ka karan khandhar se ghar ke puchte hain
tute kunware kangan apna puchte kasoor kya hai
sooni kalai puchti hai aakhir hamne kiya kya hai
saptvarni chunriyib ke taar ro kar bolte hain
nok par tufan ki shama lute dekhta hun
roz kitni raushni ko khudkushi karte dekhta hun
dekhta hun kuch suman ki hi bagawat chaman se
swas ka hi vidroh lahu, hritay aur tan se
lagta hai saritayen bhi hinta se sookh rahi
kyonki har hriday samandar aankh bani ksheer hai.
Har hriday ki aas hoti laut ke na atit aaye
vartmaan se bhi jyada ooska bhavishya muskuraye
lekin prabhu se prathna, bhavishya desh ka atit ho
kuch nahi to 'deepak'hriday mein nishkapat preeti ho
kyonki nafrat ki kainchi hai jis tarh chal rahi
darta hun kahin thaan saara ban na jaye cheer hai
Copy right reserved @Kavi Deepak Sharma
http: //www.kavideepaksharma.co.in
http: //www.shayardeepaksharma.blogspot.com
http: //www.kavideepaksharma.com
Kavi Deepak Sharma
http://www.poemhunter.com/poem/jaati-hain-drishti-jahan-tak-baadal-dhuayen-a-poem-by-deepak-sharma/