ek din-hin man dhundh raha parabhi ho kaha
tere darsh ko kiye nayan chakor nitya pal yahan
aasho ka bandh n chhor saki tum aaoge
main suni daman ka chali parabhu ho kahan
main virah me teri jal rahi ban babli
parbhu darsh ke savan ko dekhun ban wan aali
nabh se ram rup versa kar kab jawoge
main jagwan me patjhar bani parabhu ho kahan
jab pratah ko suraj uga lali liye
amber se jhare taru ko hariyali diye
par de saka n mujhko meri hariyali
main taru ek nirjan rahi prabhu ho kahan
tum jag ke paritapak ho main yah janti
tum aaksha nahi sarvakhsa ho yah manti
bhutal ke kan-kan me base ho tum magar
mujhe yah duri kyon hui parabhu ho kahan
ek vedna jo shulo se bhi tikhi hai
mit sakti hai jo wash tera mujhme ho
par na hui to mit main khud hi jaungi
main ram nam pal-pal ratu parabhu ho kaha
vinay shankar prasad
http://www.poemhunter.com/poem/pabhu-ho-kahan/