Gham e ashqi tera shukria !parveen shakir!urdu poetry!Bazm e Adab
Kabhi rukh gye kabhi chal diye
Kabhi chaltey chaltey bhatak gye
Yunhi umar sari ghuzar ai
Yunhi zindagi k sitam sahey
Kabhi neend mein kabhi hosh mein
Tu jahan mila tujhe dekh kr
Na nazar milli na zuban hilli
Yunhi sar jukha k ghuzar gye
Kabhi zulf pr kabhi chashm pr
Kabhi tere haseen wajood pr
Jo pasand thy meri kitab mein
Woh shair sarey bikhar gye
Mujhe yaad hai kabhi aik thy
Magar aj hum hain juda juda
Woh juda huey tu sanwar gye
Hum juda huey tu bikhar gye
Kabhi arsh pr kabhi farsh pr
Kabhi un k dar kabhi dar badar
Gham e ashqui tera shukriya
Hum kahan kahan se ghuzar gye