NABI ÅLEHISSALAM KE BARE MEIN KUCHH MALOOMAT
.
Tamam ambiya e kiram ka deen ek hi tha magar shari'at alag - alag aur Aa'amal bhi juda - juda the
Hazrat yaqoob alaihissalam ki aulaad ko bani israil kahte hai aur iss qaum ke Sabse pehle nabi hazrat yusuf alaihissalam aur aakhir mein hazrat eesa alaihissalam .
• Kaafiron ki taraf sabse pehle tableegh ke liye hazrat nooh alehsalam ko bheja gya magar sahibe shari'at sabse pehle hazrat moosa alaihissalam hue
● Arab qaum me 4 nabi paida hue
1- Hazrat hood alaihissalam
2- Hazrat saaleh alissalam
3 - hazrat sohaib alihsalam
4- Huzoor Mohammad sallallaho taala alaihi alaihissalam wasallam
• Abb tak 2 ambiya e Ikram ne nikah nahi farmaya .
01. - Hazrat yahya alihsalam
2 - Hazrat eesa alaihissalam ,
ye aasman se utarne ke baad nikah karenge .