Gali Gali Saj Gai - Rabiul Awwal Milad Kalam - Lyrical Video 2021 - Hafiz Tahir Qadri

PAK STUDIO 5 2022-09-28

Views 131

Milad Tha Milad Hai Milad Rahy Ga | Rabi ul Awal 2021| Hafiz Tahir Qadri

میلاد پہ ہر سال یہی نعرہ لگے گا۔۔۔۔۔۔۔میلاد تھا،میلاد ہے،میلاد رہے گا!

Assalam o Alaykum!
On the happy occasion of Eid Milad-un-Nabi celebration Here's The Most Awaited 2021/1443 Milad Title Kalam of Hafiz Tahir Qadr
Ghaliya Bazaar Saje
Masjid Minaar Saje
Aashiqo Ke Ghar Hai Saje
Ghar Bhi Saje Dil Bhi Saje
Ishq Me Milaad Kahega

Aagae Aagae Aae Mere Mustafa
Milad Tha - Milad Hai - Milad Rahega

Duniya Me Tou Milad Manate Hi Rahengay
Zikr e Rasool e Paak Sunate Hi Rahengay
Jashan e Nabi Ka Hashr Me Bhi Danka Bajega

Milad Tha - Milad Hai - Milad Rahega
Galli Galli Marhaba
Shehr Shehr Marhaba

Falak Ke Nazaro Zameen Ke Baharo
Sab Eid e Manao Huzoor Agaye Hai
Utho Gham Ke Maaro Chalo Be Saharo
Khabar Yeh Sunao Huzoor Agaye Hai

Anokha Niraala Woh Zeeshaan Ayaa,
Woh Saray Rasoolo Ka Sultan Ayaa,
Aray Kaj Kula’ho, Aray Baadshaho
Nigahein Jhukao Huzoor Agaye Hain.

Huwa Chaar So Rahmato Ka Basera
Ujala Ujala Sawera Sawera
Haleema Ko Pohnchi Khabar Aamina Ki
Mere Ghar Me Aao Huzoor Agaye Hain

Aagae Sarkar Mere Marhaba Yaa Mustafa
Aagae Dildar Mere Marhaba Yaa Mustafa
Sayidus Sardar Mere Marhaba Yaa Mustafa
Aagae Ghamkhar Mere Marhaba Yaa Mustafa
Aap Meri Shaan Hai Marhaba Yaa Mustafa
Aap Hi Pehchaan Hai Marhaba Yaa Mustafa
Aap Meri Aan Hai Marhaba Yaa Mustafa
Momino Ki Jaan Hai Marhaba Yaa Mustafa
Wallah Imaan Hai Marhaba Yaa Mustafa

Mere Sarkar Aae Marhaba
Mere Dildar Aae Marhaba

Naseeb Chamke Hein Farshiyon Ke
Ke Arsh Ke Chand Aa Rahe Hein
Jhalak Se Jinki Falak Hai Roshan
Woh Shams Tashareef La Rahe Hein
Zamana Palta Hai Rukh Bhi Badli
Falak Pe Chahi Huwi Hai Badli
Tamaam Jangal Barhe Hai Jhalthal
Har Aik Chaman Leh Laha Rahe Hai

Nisar Teri Chahal Pehal Ke
Hazaron Eiden Rabi Ul Awwal
Siwa-E-Iblees Ke Jahan Me
Sabhi To Khushiyan Mana Rahe Hein

Shab E Viladat Me Sab Muslama
Na Kyon Karey Jaan O Maal Qurban
Abu Lahab Jaise Sakht Kaafir
Khushi Me Jab Faiz Par Rahe Hein

Zamane Bhar Ka Yeh Qaaida Hai
Ke Jiska Khana Usi Ka Gana
Tera Khawa Main Tere Geet Gawan Ya Rasoolallah
Tera Milaad Mein Kyun Na Manawaan Ya Rasolallah.

Halima Kar Qadi Vekhay
Kadi Sarkaar Nu Wakhay
Main Keri Sej Tere Lai Sajawan Ya Rasoolallah

Milad Tha - Milad Hai - Milad Rahega

Hum Ishq Me Jeete Bhi Hai Marte Bhi Hai Sunlo
Koi Bhi Rukawat Ho Ae Shaitaan Ke Yaaro
Har Haal Me Ghar Ghar Me Yeh Milad Saje Ga

Hai Kol e Sahaba Isse Hum Zinda Rakengay
Milad Pe Har Saal Julooso Me Chalengay
Firdous Me Bhi Silsila Yeh Jaari Rahega

Mehfil Hai Saji Chaaro Taraf Jashan Nabi Ki
Iss Jashan Me Dawat Hai Bas Ushaaq e Nabi Ki
Milaad Ka Munkir Tou Kabhi Aa Na Sakega

Ghar Baar Mahale Ko Sajaengay Hamesha
Youn Mehfil e Milaad Manaengay Hamesha
Jo Jhalta Hai iss se Woh hamesha jalega

Ushaaq Nikal Jae Agar apne gharo se
Gairo ko hata dengay agar apni saffo se
Konain me Har simt yehi gounj utega

Tafseer yehi waqt hai Takdeer Jaga Le
Sarkar ka Milaad Hai Parcham ko Utha Le
Iss Me Hi

Share This Video


Download

  
Report form
RELATED VIDEOS