Ya Sahib-e-Sair-e-Sailani(R.A) ya Mohkum Deen-e-Sairani(R.A) - Manqibat | Muhamamd Ramzan Kaifi

Views 5

Darr Madhe
Sultan-ul-Tariqeen, Siraj-ul-Salekeen, Shams-ul-Aarefeen, Zabdat-ul-Saleheen, Umdat-ul-Waseleen, Muqarab-e-Darbar Risalat (PBUH ), Aftab-e-Asman-e-Mohabat-o- Ishq, Salar karwan-e-Ishq, Shehswar-e-maidan-e-Siahat, Fina Fil Shaikh, Muhazzab tarbiyyat-e- Khawaja Abdul Khaliq (Rahmatullah Alaih) , Hafiz Hazrat Khawaja Mohkum-ud-Deen Sairani Badshah Shaheed Qudd-e-Sa Sirr-o-hul Azeeze (Wisal 5th Rabi-ul-Sani, 1197 Hijri).

Manqibat-e-Hazrat Khawaja Mohkum-ud-Deen Sairani (Rahmatullah Alaih) - Wisal 5th Rabi-ul-Sani [1197] Hijri Ya Sahib-e-Sair-e-Sailani (R.A) ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)

Manqibat (Urdu)
Ya Sahib-e-Sair-e-Sailani (R.A) Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
Har lab pey hai naara Sairani (R.A) Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)

Surat hai teri Norani aur Aankh hai Teri Mastani
Dunia hai Teri dewani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)
Abdul Khaliq (R.A) Mera Rahbar, hai fakhr Awaisi Nisbat Parr
Kia khoob hai Nisbat Lasani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)

Teri Azmat aur Izzat se Haan Tere Naam Ki Barkat se
Ho jati dour hai Wairani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)

Lab par Hain duaen Sham-o-Sahr, ho jaey Karam ki Aik Nazar
Har Mushkil mein ho Aasani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)

Ho Aap pey meri Jaan Quran, hai Aap se he meri pehchaan
Mil jaey Aap ki Darbani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)

Tann Mann Kaifi Qurban Karun paish Un ko main Deewan karun
Jo Kuch hai Meri Sokhun Dani Ya Mohkum Deen-e-Sairani (R.A)

- Written and Read by Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi Qadri Awaisi (Naatia Poet)

- Manqibat Number #6
- Page Number #157 - 158
- Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)

- Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
Available at: https://drive.google.com/file/d/1XpQd1aG_1SLMA7Fbb4SvBsgC989Qidg6/view

- Aqwal-e-Kaifi by Muhammad Ramzan Kaifi (Naatia Poet) has been published and available online.
Available at: https://drive.google.com/file/d/12i4K3c5ZVZL3120Nb235DapkUGIOqghB/view

#------------------------------------#
Address
#------------------------------------#

Aastana Aalia Ghousia Awaisia Near Qasim Bagh Khanqah Sharif T/D Bahawalpur, Punjab Pakistan.

#--------------------------------#
Content Maker
#--------------------------------#

Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi is a Teacher, Artist, Naatia Poet, Writer and Mystic. He is illuminating the hearts of people through his intense Love for Allah, Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam), Ahle-Bait (R.A), Sahaba Karam (R.A) and Auliya Karam (R.A).

His book (Ashk-e-Aqeedat) has been published that is collection of
Hamd-o-Naat, Manaqib, Kafiyan, Qataat, Rubaiyat and Fardiyat in Urdu and Saraiki.
His other books that are in the process of publication are:
i- Aqwal-e-Kaifi
ii- Kaifyat-e-Kaifi
iii- Muqashafat-e-Kaifi (Volume-1)
iv- Muqashfat-e-Kaifi (Volume-2)
v- Bazuban-e-Khalq.

Share This Video


Download

  
Report form
RELATED VIDEOS