Bermuda Triangle History In Urdu - Hindi - Bermuda Triangle Ki Haqeeqat

Dilkash Duniya 2020-08-18

Views 24

Bermuda Introduction :

Bermuda Triangel ka shumar dunya kay Sub say Purisrar Mukammat Main Kea Jata ha, Bermuda Ka Shumali Sira Jazair e Bermuda, Aur Janoob Mashriqii Sira Potrico Aur Janoob Maghribi Sira America Ki Mashhoor Riyast Ha .
Bermuda Mai Ab Tak Kahin Behri aur Hawayi Jahaz Amlay Samait Ghaib Ho Chukay Hain, Aur Koi B Science-Daan Aj Tak Hatmii Tor Par Iss Say Parda na Utha saka, Bermuda Triange Aik Mutanaaza Raaz ha Jiss par ghor o fikar toh boht hoi Lakin Aj tak Koi wazah jawab na mil saka, Koi iss ko mazhab say jorta ha aur Koi science ka shakh saana Btata ha, koi jinnat ki sar zameen kehta ha aur kisi kay nazdeek yeh mehz aik afsaanvi jaga ha .
Bermuda Triangel 300 Jazeero Par Mushtamil ha Jinn main Ziada tar Ghair Abad hain, Aur Sirf 20 Jazeero par insani Abaadi Payi Jaati ha .

Bermuda Triangel History :

Bermuda Ki Ibtida Crystofar Coloumbus Kay Safar Say Kee jati ha Pandravi Saddiii (15th Century) kay Ikhtitam Par Jab Coloumbous Nay Duniya Kay gird Chakkar Laganay Ki Koshish main America Daryaaft Kea Toh iss Elaaqay say Guzar raha tha Toh us nay aur uss kay jahaz Raan Sthiyo Nay 3 Bato ka Mushahida Kea .
1- Aag ka Gola (Fire Ball) Uthta Daikha
2- Qutab Numa (Compass) Nay Kaam Karna Chor Dea
3- Aur uss nay Rat Ko UFAQ Par Roshniyaan (Lightening) Daikhi .
Yeh Woh Wakiyaat Hain jin ka Zikar Coloumbous Kay Notes Main Milta ha .

Share This Video


Download

  
Report form
RELATED VIDEOS