"Om Jai Jagdish Hare" is a famous hindu aarti sung by the entire congregation at the time of Aarti.
Song : Om Jai Jagdish Hare
Album : Om Namo Vasudevaye
Singer : Pallavi
Lyricist :Traditional
Music Dir.:K.K.
Audio On : Yellow & Red Music
www.yellownredmusic.com
Lyrics:
Om Jaye Jagdish Hare, Swami Jaye Jagdish Hare
Bhagt Jano Ke Sankat, Khshan Mein Dur Kare ...
Jo Dhaywe Phal Pave, Dukh Vinshe Man Ka
Sukh Sampati Ghar Aave, Kasht Mite Tan Ka ...
Maat-Pita Tum Mere, Sharan Gahun Kiskee
Tum Bin Aur Na Duja, Aas Karun Jiskee ...
Tum Puran Parmatma, Tum Antaryami
Par-Brahm Parmeshwar, Tum Sabke Swami ...
Tum Karuna Ke Saagar, Tum Palankarta
Mein Moorakh Khal Kami, Mein Sewak Tum Swami,
Kripa Karo Bharta ...
Tum Ho Ek Agochar, Sabke Pran Pati
Kis Vidhi Milun Dayamay, Tumko Mein Kumti ...
Deenbandhu Dukh Harta, Thakur Tum Mere
Apne Hath Badao, Apni Sharan Lagao,
Dwar Para Tere ...
Vishay Vikaar Mitao, Paap Haro Deva
Shradha Bhakti Barao, Santan Ki Sewa ...
Tan Man Dhan, Sab Hai Tera
Tera Tujhko Arpan, Kya Lage Mera ...