The bridge collapses in the Neelam Valley, 25 students of Lahore fell into the river.
Laanat hai govt pai, kei angreizo ki dour ki bridges ka abhi tak daba ke istimal kar rahe hai par khabi us ki maintenance ya reconstruction ka khyal nahi aaya, khyal tab hi aata hia jab pul gir jata hai, afssos hai aesi hukumat per, abhi azad kashmir kei wazir azam waha per jaye ya na jaye kia farq parta hai, fart tu tab parta hai jab hukumat wu kaam kare ju karnei chahiyae, taaziat par jane se pehle agar hukmat aesei aqdamat karei jis ke baad aesi emergency surat e hal paida hi na hu tu kia hi acha hu, aik department banni chahiye jis ka kaam sirf yei hu ke wu mulk bar mei bridges ki maintenance ka kaam karei, tabhi yei syatem tek huga, aaye din bridge girnei ki news milti hai par govt ko pata nahi hosh kab ayega, is se kuch mahenei pehle charsadda me aik bridge gir giya tha, baad mei taameer karatei hai lekin jab girnei waala hota hai us time ignore karte hai, Allah in ko hidayat de