jo ka fayde | barley water benefits in urdu ever | جو کے فائدے | Jo Ka Atta and Dalia ke Fawaid

Jas Jas 2018-02-25

Views 6

barley water ke zabardust faidy
jo qabz mein kaisy istimal karte hain
jo ka pani gurdon ko kaisy faida daita hai
jo ka pani maide ko kaisy faida daita hai
jo ka pani dil ke liyae kaisy behter hai
jo ka pani bemariyon mein kaisy faidy mund hai
Jo Ka pani aur Atta, Dalia ke Faide in Urdu. It has loss of benefits for weight loss, skin, stomach and others. You can eat it by making a roti, dalia or make pani at home.
Jau (barley) Khurdoni ijnas mein aik aam si jins hai. Ye gandum ke kheton mein paye jate hain aur gandum se phele pak jate hain. Agar cha ye kasht kiye jate hain magar is ki khud ro qism bhi payi jati hai. Nabi Akram (S.A.W) ko jau bohat pasand the. Un ki zat e girami ke sath un ka wasta bator roti, bator dalia aur bator sato ahadis se pata chalta hai. Uhd e Risalat (S.A.W) mein aam tor par log jau ki roti khate the ya gandum aur jau
au (barley) khane se qowat hasil hoti hai. Ye jismani kamzori ke elawa khansi aur halaq ki sozish ke leye mufeed hain. Mede ki sozish ko khatam karte hain, jism se ghilazaton ka ikhraj karte hain, pishab aawar hain aur piyas ko taskeen dete hain.

Nabi Akram (S.A.W) ne jau ke fawaid mein do (2) aham baatein irshad farmai hain.

1- Mariz ke dil se bojh ko utar deta hai.

2- Fikr aur gham se nijat deta hai.

Jau (barley) khane se jo khoon paida hota hai wo mutadil, sulah aur kam gharah hota hai. Jau ko is ke wazan se 15 guna pani mein itni deer halki aag par pakaya jaye ke tesra hissa ar jaye, ye pani jism ki taqreeban 100 bimariyon mein mufeed hai, ye jism ki garmi aur tapish ka kam karta hai, badan ko mazbot karta hai. Chun ke ye jald hazam hota hai is leye kamzor aur badhazmi ke marizon ke leye ghiza aur dawa hai. Is ka garam pani pene se gale ki sozish mein kami aati hai. Is ka harira qabiz dawaon ke sath dast rokta hai. Jau ka aata gondh kar is mein chach mila kar pene se sifar awi qee, piyas ki shidat aur mede ki sozish mein faidah hota hai.

Jau ka aata sirke mein gondh kar har qism ki kharish mein lagana mufeed hai. Sar ki phaphondi ko dor karta hai. Jau ke aate ko shehad ke pani mein gondh kar lep karein to baghami adaram tehlil hote hain, safar e jal (bihi) ka chilka utar kar jau aur sirke ke sath pees kae joron ke dard aur asabi dardon par lagana faide mand hai. Jau aur gehon ki bhosi ko pani mein ubal kar is pani ki kuliyan karein to dant ka dard jata hai.

Share This Video


Download

  
Report form
RELATED VIDEOS