Ya-Mustafa-Phir-ata-ho by Muhammad Owais Raza Qadri..
Naat sharif Layrics:
Ya Mustafa ata ho phir izn haazri ka
Karloon nazaraha aakar phir aapki gali ka
Eik bar phir dikha do Ramzan mein Madina
Beshak banalo Aaqa mehman do ghari ka.
Rota huwa phir aaon daagh e jigar dikhaoon
Afsana bhi sunaoon main apni baykasi ka.
Phir Sabz, Sabz gumbad ki dekhloon baharein
Ab izn day do Aaqa phir mujh ko hazri ka.
Ya Mustafa! gunahoon ki aadatein nikal jayein
Jazbah mujhay aata ho Sunnat ki pairwi ka.
Dil say ghuroor niklay, bahray Huzoor niklay
Ya Rab! mujhay bana day paikar Tu aajzi ka.
Allah! hub-e-duniya say Tu mujhay bachana
Sa’il houn Ya Khuda main Ishq e Muhammadi ka.
Iman pay Rab e Rehmat day day Tu isteqamat
Deta houn wasta main Tujh ko Teray Nabi ka.
Ulfat ki bheek day do! deta houn wasta mein
Siddiq ka Umar ka, Usman ka Ali ka.
Duniya kay tajdaro! tum say mujhay gharz kiya!
Mangta hoon main to mangta Sarkar ki gali ka.
Meezaan pay sabh khar’ay hain amaal tul rahay hain
Rakhlo bharam Khudara! Attar e Qadri ka
Other Verses
Day do gham e Madina, day do gham e Madina!
Aisa gham e Madina dekhoon na mooh khushi ka.
Khoon-e-jigar say se’ncha hai baagh e Sunniyat ka
Kardo karam waseelah is Madni murshidi ka.
Ya Syed e Madina! bus Aap hi nibhana
Go houn bada kaminah, par houn to Aap hi ka.
Houn dur sabh balaein deta houn wasta mein
Mazloom karbala ki Sarkaar! bekasi ka.
Ho har Nafas Madina dharkan mein ho Madina
Jab tak na sa’ans tutay Sarkaar zindagi ka.
Allah! is say pehlay Imaan pay maut de day
Nuqsaan mare sabab say ho Sunnat e Nabi ka.
Kuch nekiyaan kamale jald akhirat banale
Koi nahi bharosa bhai! zindagi ka.