Aap Baithey Hain Song || Zamad Baig || (Nusrat Fateh) || Murat & Hayat HD

Alfaaz Melodies 2017-01-13

Views 131

Beautiful Drama Song in Voice of Zamad Baig Watch It Must.!!
Ap Baithe Hain Balam By Zamad Baig OST Dhaani | (Nusrat fateh Ali Khan)

||LYRICS||
Aap Baithe Hain Balin Peh Meri
Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai, Mohbbat Mouj Hai Saahil Nahi Hai
Meri Afsurdagi Peh Hanse Wale, Tere Pehlo Mein Shayad Dil Nahi Hai

Ajj Hum nay youn he khushi karli, Dil jala kar he roshni karli
Atay jatay raha karo sahib, Anay janay main kyun kami karli

Doub Kar teri neli anhkhon main, Ghark hum na tu zindagi karli
Ek fakat teri dosti ka liya, Sari duniya say dushmani karli

Sar jis paa na jhuk jaya, Osay Daar nahi kahatay
Her Daar pa jo jhook jaya, Osay Sar nhai Kahtay

Kya Tujh ko jaha walay sitamgar nahi kahatay
Kahatay honga lakin teray mou pa nahi kahatay

Kabay main her ek Sajaday ko kahaty hain Ibadat
Mainkhanay main her jaam ko Sagar nahi kahatay

Kabay main Muslma ko bhi kah detain hain Kafir
Mainkhanay main Kafir ko bhi Kafir nahi kahaty

Jo nazar aar par ho jaye, Wohi dil ka qaraar ho jay
Apni zulfon ka daal do saya, Teergi khushgawar ho jay

Teri Nazron ko dekh paye agar, Shaikh bhi maigusaar ho jay
Tujh ko daikhe jo ik nazar Foran, Chand bhi sharam saar ho jay

Aaina apne samnay se hata, Yeh na ho khud se pyar ho jay
Mout Kiss tarhay aya Bali per, Tuo agar ek baar ho jay

Aap Baithe Hain Balin Peh Meri, Mout ka zoor chalta nahi hai
Mout mujh ko gawara hai lakin, Kya karo dum nikalta nahi hai

Yaa adda yaa Nazakat Brasil, Mera dil tum pa Kurban lakin
Kya Sambhalo ga tum meray dil ko, Jab ya Anchal sambhalta nahi hai

Mero Naalo soun kar Zamanay, Hoo gai Moum kitni chataanay
Main na Pighla diya Pathraon ko, Ek tera dil pighalta nahi hai

Sheikh jee ke nasiyat bhi achi, Baat waiz ke khoob lakin
Jab bhi chaatee hai Kaali Ghataya, Bin piya kam chalta nahi hai

Dekha lay meri maiyat ka manzar, Loug khanda badlatay chalaya hain
Ek teri bhi Doli chali hai, Koi Khanda badlata nahi hai

Mainkdha ka sabhi peenay walay, Larkhara kar Sambhlatay hain lakin
Teri nazroon ka jo jaam pee la, Umer bhar wo Sambhlata nahi hai

Aap Baithe Hain Balin Peh Meri, Mout ka zoor chalta nahi hai

Share This Video


Download

  
Report form