Bigri Na Kabhi Un Se bani soch raha hoon
kiyon aag mere dil mein lagi soch raha hoon
woh aik jhalak barson se jis ki nahin dekhi
nazron se woh soorat na miti soch raha hoon
jab yaadon ne aa ghera achanak mujhe un ki
kis shan se woh sham saji soch raha hoon
us zulf-e-moattar ki hi khushbu hai faza mein
har samt yeh hai kaisay basi soch raha hoon
moondi thi zara aankh to mehsoos hua yoon
pehlu mein koi barq giri soch raha hoon
jazbaat ka izhar bhi karnay se tha qasir
hai mujh se bara kon dukhi soch raha hoon
tareef meri kartay hein milnay se guraizan
kya mujh mein Bukhari hai kami soch raha hoon
Poet: Altaf Bukhari
Voice: Imran Sherazi