Udas Shaamain, Ujaar Rastay Kabhi Bulain Tou Laut Aana
Kisi Ki Aankhon Mein Ratjagon Ke Azaab Aain Tou Laut Aana
Abhi Nayi Wadiyoon, Naye Manzaron Mein Reh Lo Magar Meri Jaan
Yeh Saray aik Aik Kar Kay Jab Tum Ko Chor Jain Tou Laut Aana
Jo Shaam Dhaltay Hi Apni Apni Panah Gahoon Ko Lauttay Hain
Agar Woh Panchi Kabhi Koi Daastan Sunain Tou Laut Aana
Naye Zamaanon Ka Kurb Orhay Zaeef Lamhay, Nidhaal Yaadain
Tumhaaray Khwaabon Ke Band Kamron Mein Laut Aain Tou Laut Aana
Mein Roz Younhi Hawa Pay Likh Likh Kar Us Ki Janib Ye Bhejta Hoon
Ke Achay Mausam Agar Paharoon Pe Muskurain Tou Laut Aana
Agar Andheron Mein Chor Kar Tum Ko Bhool Jayein Tumharay Sathi
Aur Apni Khatir Hi Apnay Apnay Diye Jalain Tou Laut Aana
Meri Woh Batain Tu Jin Pay Be Ikhtiyar Hansta Tha Khilkhila Kar
Bicharnay Walay Meri Woh Batain Kabhi Rulain Tou Laut Aana…..!
Poet: Farhat Abbas Shah
Voice: Imran Sherazi