wo nahi mera magar,
wo nahi mera magar,
usse mohabbat hai to hai,
wo nahi mera magar,
usse mohabbat hai to hai,
ye agar rasmo rivajo se bagaavat hai to hai,
wo nahi mera magar,
usse mohabbat hai to hai…
sach ko maine, sach kaha,
jab keh diya to keh diya…
sach ko maine sach kaha,
jab keh diya to keh diya,
ab zamaane ki nazar mein,
ye himaakat hai to hai,
wo nahi mera magar,
usse mohabbat hai to hai…
dost bankar, dushmano sa
wo satata hai mujhe…
dost bankar, dushmano sa
wo satata hai mujhe,
fir bhi us zalim pe marna
apni fitrat hai to hai,
wo nahi mera magar,
usse mohabbat hai to hai…
kab kaha, maine ke wo
mil jaye mujhko, main use…
kab kaha, maine ke wo
mil jaye mujhko, main use,
gaer na ho jaye wo,
bas itni hasrat hai to hai,
wo nahi mera magar,
usse mohabbat hai to hai,
ye agar rasmo rivajo se bagaavat hai to hai,
wo nahi mera magar,
usse mohabbat hai to hai…