Yadon ki Pari is a song penned by Tajdars father, Junaid Ahmad, from his debut album What Colour Is Your Raindrop which is now available on iTunes - \r
OKListen- \r
Amazon - CDbaby - \r
\r
Hear the ext. version of the song : \r
\r
Follow Tajdars music and concert updates on\r
\r
Facebook \r
\r
Words by Junaid Ahmad\r
Music composed & produced by Tajdar Junaid \r
Video memoir produced, directed, photographed & edited by Ankit Mehrotra\r
\r
Sanso ke aangan mein, dard ki aahat se\r
Neend jab toot-ti hai, ek safed chadar mein Yadon Ki Pari aati hai\r
Bahon mein phool hain aur chand kaliyan hain\r
Maazi ki khirki hai, soch ki galiyan hain\r
Ret ki diwarein hain aur ek gharonda hai\r
Jism ke is chaukhat par \r
Mera naam likha hai\r
Ek hava si chalti hai, kaaley baadal chatey hain\r
Zakham pe paani rista hai aur joh toofan uth-ta hai\r
Na to woh gharonda hai aur na woh diwaren hain\r
Jism ke is tootey pinjrey mein ek jhoola jhoolta hai\r
Rooh ki chirya badal mein Pari bun urr jaati hey\r
Aur sanso ke aangan mein, dard ki aahat se\r
Neend jab toot-ti hey\r
Ek safed chadar mein \r
Yadon ki Pari aati hai\r
\r
\r
Chaman ke maali se kisi ney poocha hota\r
Garam laavey ka sooraj aur too-ti chatri ka saaya\r
Us maasoom paudhey par pasiney ki ek boondh\r
Ek umidh, ek aas liye\r
Jab woh paudhey ko seench-ta sawarn-ta \r
Us phool ka khwaab dekhata hey\r
Toh uske sookhe chehre par\r
Muskurahat ki papri dikhai deti hey\r
Kab yeh kaliyan phootengi\r
Bazaron mein bechunga\r
Aur do roti kharidunga\r
Seeney ke pinjrey mein bundh bhooka parinda \r
Jo dharakta rehta hey\r
Ussey ek boondh bhi mil jayegi\r
Shayad bhookh bhi mit jayegi \r
Phir fakir ki sada aati hey\r
Din ka khwaab bara suhana hota hey\r
Dil ke behlaney ka bahana hota hey\r
\r
This poem talks about an Angel of yesteryear memories comes for a visit to a parched soul. In the same way a gardener looks at his flowers with anticipation to sell them when it blossoms, to feed himself.\r
\r
Mixed by Fred White\r
Recorded at HMV Studios Calcutta\r
Mastered by Lewis Hopkin at Stardelta Audio Mastering Studio Devon UK\r
\r
\r
all copyright reserved with Tajdar Junaid under PRS, CAE number 591128056