Rang Laye ga Shaheedon ka Lahoo
Yeh Lahoo Surkhi hai Azaadi ke Afsaanay ki
Yeh Shafaq Rang Lahoo
Rang Laaye ga Shaheedon ka Lahoo
Jis ke har Qataray mai Khursheed kyee
Jis ke har Boond mai Ik Subho Nayee
Duur jis Subh-e-Darakhshan se Andhera hoga
Raat kat jai gi Gul Rang Sawera hoga
Rang Laye ga Shaheedon ka Lahoo
Apni Raftar ko ab aur Zara Taiz karo
Apne Jazbat ko Kuch aur Junoo'n khez karo
Aik do Gaam pe ab Manzil-e-Azadi hai
Aag aur Khoo'n ke udhar Amn ki Abaadi hai
Khud ba khud toot ke girti nahi Zanjeer kabhi
Badli jati hai Badalti nahi Taqdeer kabhi
Rang Laye ga Shaheedon ka Lahoo
Jis ke har Qataray mai Khursheed kyee
Jis ke har Boond mai Ik Subho Nayee
Duur jis Subh-e-Darakhshan se Andhera hoga
Raat kat jai gi Gul Rang Sawera hoga
Rang Laye ga Shaheedon ka ..