Be hijabana Aao merey Mustafa(PBUH) dam nikkal he na jaey - Naat(Urdu) | Muhammad Ramzan Kaifi

Views 2

Naat (Urdu)
Be hijabana Aao merey Mustafa (PBUH) dam nikkal he na jaey issi bazm mein
Aashqan-e-Nabi (PBUH) ki yeh hai iltija dam nikkal he na jae issi bazm mein

Main ne rahun pe palkein bichai hain ab terey Naalain ko chomney keliay
Moula dikhlaey mujh ko Tira Naqsh-e-Pa dam nikkal he na jaey issi bazm mein

Dekh kar Tera Mukhra kahun barmla aa gaye Mustafa (PBUH) aa gaye Mustafa (PBUH)
Marhaba Marhaba Aaqa (PBUH) sadd Marhaba dam nikkal he na jaey issi bazm mein

Dil mein Sall-e-Ala ke taraney rahey, Labb pey mere fasaney rahey Aapke
Umar bhar Shaha (PBUH) Tera he charcha kia dam nikkal he na jaey issi bazm mein

Jo tamanai hai unke deedar ka os ke lab parr rahey Zikr-e-Sall-e-Ala
Ahl-e-Irfan ne ki baat yeh barmla dam nikkal he na jaey issi bazm mein

Arsh-e-Aazam pey Rabb ki Tajali mili dil ki aakhun se dekha hai Mukhra Tera
Bakhuda Shaha (PBUH) Qurb-e-Khuda mil gaya dam nikkal he na jaey issi bazm mein

Merey Ishq-e-Nabi (PBUH) mein jo aansu bahey koi aa kar yeh kanun mein kehney laga
Ro na Kaifi na Mehfil mein sab ko rula dam nikkal he na jaey issi bazm mein

- Naat Number # 7
- Page Number # 96 - 97
- Book Name : Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
- Written and Read by Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi Qadri Awaisi (Naatia Poet)
- Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
- Available at: https://drive.google.com/file/d/1XpQd1aG_1SLMA7Fbb4SvBsgC989Qidg6/view

#------------------------------------#
Address
#------------------------------------#

Aastana Aalia Ghousia Awaisia Near Qasim Bagh Khanqah Sharif T/D Bahawalpur, Punjab Pakistan.

#--------------------------------#
Content Maker
#--------------------------------#

Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi is a Teacher, Artist, Naatia Poet, Writer and Mystic. He is illuminating the hearts of people through his intense Love for Allah, Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam), Ahle-Bait (R.A), Sahaba Karam (R.A) and Auliya Karam (R.A).

His book (Ashk-e-Aqeedat) has been published that is collection of
Hamd-o-Naat, Manaqib, Kafiyan, Qataat, Rubaiyat and Fardiyat in Urdu and Saraiki.
His other books that are in the process of publication are:
i- Aqwal-e-Kaifi
ii- Kaifyat-e-Kaifi
iii- Muqashafat-e-Kaifi (Volume-1)
iv- Muqashfat-e-Kaifi (Volume-2)
v- Bazuban-e-Khalq.

He has been conducting religious congregations and Spiritual Mahafils:
i- Mahana Mailad-e-Mustafa (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam) since 1987.
ii- Salana Mailad-e-Mustafa (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam) since 1987.
iii- Salana Mehfil Zikr-e-Ahl-Bait (RIZWANULLAH ALAIHE) since 1427 Hijri.
iv- Salana Mehfil Ghous-ul-Azam Hazrat Al-Sayyed Al-Shaikh Abdul Qadir Al-Jilani Al-Hassani-o-Al- Hussaini (Qudd-e-Sa Sirr-o-hul Azeeze)
v- Salana Mehfil Hazrat Khawaja Mohkum-ud-Deen Sairani (Rahmatullah Alaih)

Share This Video


Download

  
Report form
RELATED VIDEOS