Dayam para hua tere Dar par nahi hun main.Ghazal Mirza Ghalib By Hina Nasrullah
dayam para hua tere dar par nahi hun main By Mirza Galib
dayam para hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main
kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main
yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
had chahiye saza mein uqubat k waste
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main
kis waste aziz nahi jante mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main
rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main
karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
kya asman k bhi barabar nahi hun main
'ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"