Azeem maa teray betay ki laash aai hai
khuda gawah hai shahdat ki maut aai hai
azeem maa tera noor e nazar shaheed hoa
khuda ki rah main tera pisar shaheed hoa
khuda ka shukar hai maidan say munh nahi moora
dahan pay, senay pay, bazoo pay zakahm khae hain
k sheer lout raha hai kachaar ki janib
udoo ka khoon piye, hadiyaan chubae hoay
tera shaheed lahoo main naha k aaya hai
kadam kadam pay ghulistan khila k aaya hai
hazaar andhiyan aaen woh bhujh nahi sakteen
lahoo say apnay jo shammein jala k aaya hai
likha tha khalid o tariq nay apnay khoon say jissay
usi kitab k saffhay barha k aaya hai
Raza e haq say tera dil hai kis kadar abaad
azeem maa tujhay sab mubarik ho
jo deekhta hai adab say woh sir jukata hai
teray shaheed ka shahi jaloos aata hai
teray shaheed ka shahi jaloos aata hai