Deepak Kumar deep - Humanity poem in Hindi by Deepak kumar deep

PoemHunter.com 2014-11-10

Views 5

Aasman me sitaron ko
kisi se ladte dekha hai?
kya suraj chanda taaron ko
raushni sene se adhte dekha hai.

Kya kabhi shikayat ki hai hawa ne
ki mai muft me kyon bahun
nadee ke sheetal jal se poocho
kya kabhi inkar kiya usne
apna jal dene se..

Pashu pakshai bhi apne anusar
sewa jagat ki kare hain
pedh paudhe sabhi ke liye hai
dhoof, chon, hawa
verna, jaati, dekh nahi dete..

Kintu,
ye insan hi aisa kyon
apni khudgarj lalsaon ki khatir
dusron ka sukh chain cheen raha
''Manavta'' sabad ki to isne
hinsha hi kar dali hai.
Aakhir kyon hai aisa insan.

Ham bhi apne aham ko tyagen
aur manavta apnayen
jitna ho ham sabse,
par sewa se punya kamayen
laden na ham baat baat par
prem se har baat sulghayen
jab ek prabhu ke balak hain ham
fir kaisa hai ghagda
chod ninda nafrat ko
har manav ko gale lagayen

chote baden ki baaten ab
rahne hi den kitabon me
saccha pyar karke sabse
is jeevan ko safal banayen.

Aakhir kyon ke is sawal ko
ye jahan kyon duhraye
aisi karni bane hamari,
'deep' jag me ujiyara ho jaye...

Deepak Kumar deep

http://www.poemhunter.com/poem/humanity-poem-in-hindi-by-deepak-kumar-deep/

Share This Video


Download

  
Report form