Bano Ali - Ghazal-Tanhai

PoemHunter.com 2014-11-05

Views 221

Tum door they jabbhi tanha thee ab pas ho phir bhi tanha hoon,
Yeh qurbat kaisi qurbat hay main khud se batein karti hoon,
Kabhi waqt mile to sochna tum khamoshi bhi kutch kahti hay,
Main pehle kitna bolti thee ab keyun itna chup rahti hoon.
Tum aate they to hansti theetum jate they to roti thee,
Na hansti hoon hoon na roti hoon na jeeti hoon na marti hoon.
Jis goshe mein sabse chup chup kar hum ghanton baten karte they
Ghar ke us tanha goshe mein chupchap main baithi rahti hoon,
Jo sochein gum theen dobarah maileen, tanhai bhi ek niamat hay,
Jo bhool geya tha yad aaya jo yad aaya woh likhti hoon.

Bano Ali

http://www.poemhunter.com/poem/ghazal-tanhai/

Share This Video


Download

  
Report form