Phoolon ki kushboo ko tarashna hum na jaaney
Hum johari bhi nahin
Jo Heeray ki moolya ko pehchaaney
Heeray ki chamak
Kabhi bhi chup nahin sakthi
Woh nikhar kar aathi he hai meelon dur say!
Aapkay kadam jab is rang manch per padey
Dheemi baarish ki angdaeiyaan mein lipat kar
Cham Cham karthi Aapki Paayal
Ek ajeeb see gungunahat karti
Bheeni kushboo ki mehak liye
Jab is manch per thirrakkay
Humarey is Sham ko
Ek sunhari yaadon mein badal dein.
Kala ki keemath anmol hothi hai
Jab woh ek kalakar ban kar nikhar Aathi hai
Kala ho hum na kabhi kalakar say alag kar sakthey hain
Kala to rag rag mein basi hai ek kalakar mein
Unki mehak Charon aur failti hai
Unchayi yon ki shikhar tak
Unhey Humein sarahna chhahiye
Ek taaliyon ki kadkadahat say!
©ALL RIGHTS RESERVED BY GEETHA JAYAKUMAR 2014
© 2014.
Geetha Jayakumar.
Geetha Jayakumar
http://www.poemhunter.com/poem/ek-sham-aapkay-naam/