Akhtar Jawad - Main Tumhein Kaise Bhool Sakta Hoon

PoemHunter.com 2014-10-29

Views 5

Main tumko bool sakta hoon yeh kaise keh diya tumne,
Yeh aankhein bhi mukhatib hayn inhein bhi sun liya tumne,
Zara dekho in aankhon mein yeh tasveerein tumhari hayn,
Jo dil ko bandh kar rakhein woh zanjeerien tumhari hayn,
Mera chehra liye phirta hay rangeen dastanein jo,
Mere dil se nikalti rehti hayn Ranjha ki tanein jo,
Tumhein woh Heer kehti hayn tum itni khoobssorat ho,
Nazakat ho, raoonat ho, muhabbat hi muhabbat ho,
Yeh dil to ek qaidi hay kahin ja hi nahin sakta,
Yeh koi aur naghma ab kabhi ga hi nahin sakta,
Tumhein yeh neend kehta hay tumhein ye khawab kehta hay,
Kabhi sun kar to dekho keya dile betab kehta hay.

Yeh kehta hay ke mera gosha gosha keyun mehekta hay,
Na jane phool kaisa hay jo subho sham khilta hay,
Yeh juhi hay chanbeli hay ya phir yeh rat rani hay,
Ke ispar to khizaon mein bhi aati ek jawani hay,
Yeh iski doodhia rangat mein masti hay gulabi hay,
Nigahein shairana hayn nazar behki sharabi hay,
Nazakat ka yeh paikar hay yeh rangat hay yeh khushboo hay,
Zamin keya aasman jhuk jaye chalta phirta jadoo hay,
Agar honton ko dekhoon main to kaliyan yad aati hayn,
Agar choo loon to behki rang ralian yad aati hayn,
Yeh nazuk si hatheli jab hina se surkh hoti hay,
To inko choom ker phir chandni her subh soti hay.
Andhera ho ujala ho tumhein paya sada maine,
Dukhon ki dhoop mein zulfon ka saya le liya maine,
Wafa ki sari rasmein kistarah tumne nibhai hayn,
Tumhi ne jhalkian hooron ki dunya mein dikhai hayn,
Bari qurbanian deen hayn ke mere jaise khudsar ko,
Kiya bardasht tumne kistarah jazbati Akhtar ko,
Yeh kaise keh diya tumne main tumko bhool jaoon ga,
Jahan bhi jaogi janam main peeche peeche aaoon ga.

(Urdu version of my poem How Can I Forget You)

Akhtar Jawad

http://www.poemhunter.com/poem/main-tumhein-kaise-bhool-sakta-hoon/

Share This Video


Download

  
Report form