ishq na hota is duniya me, toh kya hota?
koi kisi ki kabra par phool chadha kar rota na hota?
ishq na hota is duniya me, toh kya hota?
shayad dilon me logon ke sirf gunah hota
ishq na hota is duniya me, toh kya hota?
ashkon aur pani me koi fark na hota
ishq na hota is duniya me, toh kya hota?
shayad aaj insaan ka namo nishan na hota.
ishq na hota is duniya me, toh kya hota?
shayad kisi ka bhi bachpan jawan na hota
ishq na hota is duniya me, toh kya hota?
naa koi zamee or na koi asmaan hota.........
ishq na hota is duniya me, toh kya hota?
prashant golwalkar
http://www.poemhunter.com/poem/ishq-na-hota-is-duniya-me-toh-kya-hota/