Shrini Deewana - KARISHMA KUDRAT KA

PoemHunter.com 2014-10-29

Views 67

Kudrat ka karishma bada hi ghazab hai,
Kitne haseen is jahan ko banaya who rab hai,
Rab nahin hai to duniya mein kuch bhi nahin hai,
Rab hai to yeh jahan hai warna kuch bhi nahin hai.

Oonche pahadon ko kisne rachaya hai is jahan mein,
Gehere saagaron ko kisne banaya hai is jahan mein,
Is jahan ko rangon mein ranga hai kisne is jahan mein,
Yeh jahan to hai srishthi us rab ki rab nahin to kuch bhi nahin hai.

Suraj ke kirnon ke roshni se jagti hai yeh duniya,
Kya kabhi us suraj ko jagaya hai kisi ne is jag mein,
Agar chand suraj ko banaya na hota us rab ne,
To socho kya haal hota is jahan ka bina chaand suraj ke.

Yeh duniya to chalti hai rab ke sahaare,
Yeh duniya to chalti hai rab ke ishaare,
Hum to bas paatra hai hum kuch bhi karte nahin hai,
Hum jo bhi karte hai woh karte hai bas hum rab ke ishaare.

Shrini Deewana

http://www.poemhunter.com/poem/karishma-kudrat-ka/

Share This Video


Download

  
Report form