Rishton ki is ajib duniya main,
Na jane kya dhunde
Yeh ‘Dil’ Mera, Yeh ‘Mann’ Mera
Kuch na chahte hue bhi paye, Aur kuch pate hue bhi khoye
Yeh ‘Dil’ Mera, Yeh ‘Mann’ Mera
Kabhi Soche Yeh ‘Mann’ Mera-
“ In Rishto Main,
Hum Kuch khote nahi sab kuch pate hain”
Aur Kabhi Dekhe Yeh ‘Dil’ Mera-
“Kuch Dur ho kar bhi Rahte Hai “Mujh” main
Toh kuch pas ho kar bhi kho Jate hai”
Kuch Rishto main hum “Naam” Khojte hai,
Kuch ke Naamo main Kho Jate Hain
Kuch Rishte “Dil” main Rahte Hain,
Kuch “Bechare Mann” main rah jate hai
Phir Bhi naa Jane Kyon Mere Maula,
Har Pal Har Chad(Second) In Rishton main Duba rahe
Yeh ‘Dil’ Mera, Yeh ‘Mann’ Mera
- Sureshansh
(Rao Varunendra Singh)
Rao Varunendra Singh
http://www.poemhunter.com/poem/yeh-dil-mera-yeh-mann-mera-hindi/