Divyansh Lachhwani - Mera bharat mahan

PoemHunter.com 2014-06-18

Views 1

laalach, loot aur hinsa ka charo oar ho raha hai gaan
pai pai me bich jata hai inka imaan hai
Aam aadmi ki jaan bhi ho gayi hai sasti
bas menga hua hai to roti kapda aur makaan
phir bhi hum log kahate hai mera bharat mahan

gandhi ji bethe hai pakade sar, subhash ka khoon b ab ho gaya hai pani
nehru ke b aankho se anshu chalak rahe hai, sar jhuka ke bethi hai jhansi ki rani
alag alag pranton main bat gaya hindustan
apne-apne desh ki maang kar raha hai pratek insaan
Phir bhi hum log kahte hai Mera Bharat Mahan

humne spykar ki dhoti aur woodland ke chappal hai chadai
raymond aur bata ne to muki hai khayi
baratnatiyan aur kuchipudi hua hai langda
aur Michal Jackson kara raha hai hume bhangada
lata asha bhool gaye par madona ka ho raha hai gungaan
phir bhi hum log kahate hai mera bharat mahan

jaha burai hamesha hari aur jeeti achaai hai
balehi jhooth sau ho lekin hazaar sachai hai
yaha logo ki madad karna dharm hai aur insaniyat hai imaan
isliye hum log kahte hai mera bharat mahan

yaha ka dhan hai hamari sanskriti
yaha aaj b mane jate hai riwaaz aur riti
bado se milne par chote karte hai pranaam
jaha diloon me aadar aur mukh se jhalakta hai samman
isliye hum log kahte hai mera bharat mahan

rashtrita aur ekta hai jaha ki shaan hai
ek hi desh hai essa jaha ek saath rahte hai hindu esaai aur musalman
jaha pradhaan mantra tha manmohan singh aur rashtra pati tha kalam
isliye hum kahte hai mera bharat mahan

Divyansh Lachhwani

http://www.poemhunter.com/poem/mera-bharat-mahan/

Share This Video


Download

  
Report form