Quasid ke aate aate khat ek aur likh rakhun,
main jaanta hoon jo wo likhenge jawaab mein ..
Kab se hoon kya bataun ..jahaan-e-kharaab mein ..
Kab se hoon kya bataun...jahaan-e-kharaab mein ..
shab haaye hijr ko bhi rakhun gar hisaab mein....
mujh tak kab unki bazm mein ... aata tha daur-e-jaam.
mujh tak kab unki bazm mein ... aata tha daur-e-jaam,
saaqi ne kuchh mila na diya ho sharaab mein ....
ta-fir na intezaar mein neend aaye umra bhar ...
ta-fir na intezaar mein neend aaye umra bhar ...
aane ka ahad kar gaye aaye jo khwaab mein ..
Ghalib chhuti sharaab... par ab bhi kabhi kabhi
Ghalib chhuti sharaab ... par ab bhi kabhi kabhi ...
peeta hoon roz-e-abr-o-shab-e-maahtaab mein . .(Tanhaiii)